Author Topic: ISS DASHT SE BEHTAR HAI NA DILLI NA BUKHARA - MOHAMMAD IQBAL  (Read 4251 times)

0 Members and 1 Guest are viewing this topic.

Offline Nohani

  • Administrator
  • *****
  • Posts: 993
  • Karma: 44
    • Home of Balochi Literature
Ho terE biabaN ki hawa tujh ko gawara
is dasht say behtar hay na Dilli na Bukhara

jis simt maiN chahay sifat-e-sail-e-rawaN chal
wadi yeh humari hay wo sehra bhi hamara

hasil kisi kamil say yeh poshida hunar kar
kehtay haiN kay sheeshay ko bana saktay haiN khara (granite)

ghairat hay bari cheez jehan-e-tagh-o-do maiN
pehnaAti hay darwesh ko taj-e-sar-e-daraa


afraad ke haatoN maiN hay aqwaam ki taqdeer
her fard hay millat kay muqaddar ka sitara


dunia ko hai phir marka-e-rooh-o-badan pesh
tehzeeb na phir apne darindoN ko ubhara

Allah ko hay pa mardi-e-momin pe bharosa
iblees ko europe ki machinoN ka sahara

Taqdeer-e-umam kia hay koi keh nahiN sakta
momin ki farasat ho to kafi hay ishara


Dr. Mohammad Iqbal