Baask- Home of Balochi Language, Literature & Culture

Non-Baluchi Litrature در بلوچی زبانانی ادب => باسکانی دیوان کے اُردو شعراء اور لکھاری => ھندی / اردو Urdu / Hindi => ضیا بلوچ => Topic started by: ضیا بلوچ Zia Baloch on February 03, 2009, 01:45:05 AM

Title: :: kisii Bush ke jaa-nasheeN se sar-e-shaam chupke chupke ::
Post by: ضیا بلوچ Zia Baloch on February 03, 2009, 01:45:05 AM
Yaaraan-e-bazm, aadaab !

aaj aap kii Khidmat meiN aek taazah-tareen mizaaHiyaa kalaam ke saath Haazir-e-Khidmat hooN, ummeed hai k aap ko yeh raNg bhii pasaNd aaye gaa !  :D

shukriya

::Urdu Version ::
(http://www.geocities.com/starmind_uk/chupke_chupke.gif)
:: Roman Version ::

1.

kisii Bush ke jaa-nisheeN se , sar-e-shaam chupke chupke
ko'ii Sadr kar rahaa thaa yeh kalaam chupke chupke

2.

" mire gore gore saaqii ! ko'i jaam cupke chupke
tire dar pe aagayaa hai, yeh Ghulaam chupke chupke !

3.

yeh hare hare se 'Bundle' yeh bhare bhare lifaafe
mujhe, qaum ke tuu de de, yehi daam chupke chupke

4.

voh jo poochhte haiN tujh se keh hai kaun teraa apnaa
are un se be dhaRak le mira naam chupke chupke

5.

ko'i fikr kar na aaqaa ! , voh kiyaa hai ab ke maiN ne
keh mare gii bhook se ab yeh a'vaam chupke chupke !

6.

na giraa magar aye aaqaa ! yuuN qadam qadam pe Dollar
kaheeN maiN phisal na jaao'N sar-e-a'aam chupke chupke

7.

kaheeN qaum ab na samjhe k Ghulaam hooN maiN teraa
zaraa Dheli chhoR merii tuu lagaam chupke chupke ! "

ab zaraa zaai'qa badalte haiN

8.

yeh saRaa saRaa sa aNRaa, yeh jale jale paraaThe
tira naashta na kar le mira kaam chupke chupke

9.

voh jo khaa ke pheNka tum ne, khule a'aam raaste par
ko'i khaata hai :Zia: jii vuhi aam chupke chupke

...


Zia Baloch
Title: Re: :: kisii Bush ke jaa-nasheeN se sar-e-shaam chupke chupke ::
Post by: Aazat Baloch on February 03, 2009, 08:21:28 AM
wah baz juwaan . |||o ....
ey tashbeeh washen baly mushabbah kay ent waja zia man sarpad nabota..