Author Topic: :: Huzoor-e-shaah jo sar Kham naheeN hai ::  (Read 4684 times)

0 Members and 1 Guest are viewing this topic.

Offline ضیا بلوچ Zia Baloch

  • Global Moderator
  • ******
  • Posts: 304
  • Karma: 19
:: Huzoor-e-shaah jo sar Kham naheeN hai ::
« on: October 04, 2009, 01:23:24 PM »
pulleN devaan , salaam o droot

pa shumaa yak nookeN "dau-Ghazlah" ii haazir ent ! ummeet kanaaN , dost bit!

:: Urdu Version ::


:: Roman Version ::

   Ghazal-e-avval

1.

sitam un ka agar che kam naheeN hai
sar-e-tasleem-e-ulfat Kham naheeN hai

2.

abhii terii haNsii meiN dam naheeN hai
abhii tou aashnaa-e-Gham naheeN hai!

3.

hamaarii aaNkh Gham se nam naheeN hai
yeh gul sharmiNdah-e-shabnam naheeN hai

4.

abhii meHfil meiN beThe haiN divaane
junooN ki lo abhii maddham naheeN hai!

5.

maHabbat meiN musalsal rone vaale!
maHabbat giryah-e-paiham naheeN hai!

6.

qiyaamat hai tumhaara Husn janaaN!
tumhaaraa zikr bhii kuchh kam naheeN hai!

7.

are naadaaN! ko'ii to baat hogii
fazaa-e-dil yuNhii barham naheeN hai!

8.

muraadeN dil ki poorii kis taraH hoN?
asaas-e-aarzoo muHkam naheeN hai !

9.

kisii bhii chaarah-gar ke paas yaaro!
zabaaN ke zaKhm kaa marham naheeN hai!

10.

bahut mushkil sahii raah-e-maHabbat
hamaaraa HauSla bhii kam naheeN hai!

11.

ruKh-e-dunyaa dikhaa'ii kyoN de is maiN?
yeh meraa dil hai, jaam-e-jam naheeN hai!

12.

uThaa rakkhaa hai phir bhii baar-e-dunyaa
agar che baazo'oN meiN dam naheeN hai

13.

:Zia: kis kis ka ronaa roi'ye gaa
ko'ii ghar hai jahaaN maatam naheeN hai?

..............................................


   Ghazal-e-duvvum

1.

Huzoor-e-shaah jo sar Kham naheeN hai
voh taaj-e-Khusravii se kam naheeN hai!

2.

fazaao'N meiN ghulaa hai raNg-e-vaHshat
yeh mausam pyaar kaa mausam naheeN hai!

3.

use khone meiN us kaa faai'dah thaa
use khone ka mujh ko Gham naheeN hai !

4.

kabhii jaataa naheeN dil se Gham-e-i'shq
is aahoo ko mazaaq-e-ram naheeN hai !

5.

dariNde hii dariNde haiN zameeN par
ilaahii ! aek bhii aadam naheeN hai !

6.

unheN nisbat hi kyaa insaaN se, jin ko
shu'oor-e-a'zmat-e-aadam naheeN hai!

7.

musalmaaN jis taraf tou chal paRaa hai
voh raah-e-rahbar-e-a'zam naheeN hai!

8.

nazar rakhnaa mizaaj-e-aasmaaN par
:Zia: ka naGhma be mausam naheeN hai!

........................................

Zia Baloch




Offline Imraan saaqib

  • Baask Poet
  • ***
  • Posts: 166
  • Karma: 22
Re: :: Huzoor-e-shaah jo sar Kham naheeN hai ::
« Reply #1 on: October 04, 2009, 03:30:49 PM »
wah wah.........................great!!

abhi teri hansi men dam nahi hay
abhi tu aashna'ay gham nahi.n hay


zabardast ghazal ay............dili Daad o toseef


Offline ضیا بلوچ Zia Baloch

  • Global Moderator
  • ******
  • Posts: 304
  • Karma: 19
Re: :: Huzoor-e-shaah jo sar Kham naheeN hai ::
« Reply #2 on: October 05, 2009, 11:57:11 PM »
wah wah.........................great!!

abhi teri hansi men dam nahi hay
abhi tu aashna'ay gham nahi.n hay


zabardast ghazal ay............dili Daad o toseef



Laala Saqib jaan, salaam o droot!

ee shumey mazanii ent ! man cha dil e juhaaNkiyaaN shumey minnat vaaraaN ! shumey vaReeN shaai'rii e dil-baRRii allam a manii hoon a geesh kant !!!

mudaam sabz o gulzaar baatey !

Zia Baloch