Author Topic: Iss bazm ke usool  (Read 19178 times)

0 Members and 1 Guest are viewing this topic.

Offline Zahida Raees Raji

  • Administrator
  • *****
  • Posts: 7107
  • Karma: 356
    • Baask-Home of Baluchi Language, Literature & Culture
Iss bazm ke usool
« on: April 15, 2005, 12:59:49 PM »
Azeezaan-e-bazm
Aadaab-o-tasleemat,

aap ko iss bazm meN khush aamadeed kehtee hooN. umeed hai ke aap ka waqt iss chopaal meN bohat acha guzre gaa :)

iss bazm meN post karne ka tareeqa-e-kaar kuch yooN hai ke aap Sirf apnee zaati takhleeqaat ke liye ek nayee laRee (thread) shroo' keejiye aur uss meN apna zaati stuff post keejiye.  deegar ehbaab aap kee takhleeqaat par apni aaraa pesh kareNge.


aap kee nigaarishaat ka intizaar rahe gaa.

khair andesh

Admin

Zahida Raees :Raji:
Zahida Raees :Raji:
baaskadmin@gmail.com , admin@baask.com
Learn Baluchi Composing in INPAGE
Learn Balochi Poetry Background Designing
Help Line

Offline badal786

  • maot kitni bhi sangdil ho magar. zindagi se tu mehrban hogi
  • Semi Seniour Baask
  • ***
  • Posts: 210
  • Karma: 1
  • kuch loog bary log ,kon se log tery log
Re: Iss bazm ke usool
« Reply #1 on: June 03, 2007, 03:10:27 PM »
Assllam allaikum
aap ni tu as meen koi usol bataya hee naheen hai  k usol kia heen 
2 usol sab se pahly  agreement ka option dyen jis meen ye sab likha howa ho
aur jon karny wala  us ko agree karta hai ya naheen
agar  wo agree naheen tu wo site join naheen kar sakta agar wo agree hai tu join kary
 


                                                            badal
jang  tu  khud   ek masaila hai ,
jang  kia masailon ka  hall degi
as liye  a sharef insano !
jang taltii rahy  tu behtar hai
aap  aur ham  sab  ky angan meen
shama  jaltii rahee  tu behtar  hai

Offline BaLosHan

  • Junior Baask
  • **
  • Posts: 15
  • Karma: 1
Re: Iss bazm ke usool
« Reply #2 on: July 23, 2010, 04:33:55 AM »
Dear Amin
             Zahida Raees Raji

is Section Mein Hum ne Woh Ghazal/Shair (Poetry) Post Karne Hain Jo Humhare Apne Zaati Hain..Lekin Yahan Dosron k Likhay Huay Shair/Ghazal Jin Ki Shairi kisi Aur ki Hai Apna Bana k Members Post Karte Hain

For Example           
Sarfaroshi ki tamanna ab hamaare dil mein hai
Dekhna hai zor kitna baazu-e-qaatil mein hai

iS Se Zahir Yahi Hota Hai k Jis ka Jahan Dil Chahta Hai Bina Soche Samjhe Post Kar Deta Hai...
Aap is baray Mein members Ko Batayein k Sirf Apne Zaati Shair/GHazal Post Karein Ya Phir Aise Post Ko Check Kar Liya karein Kyun k Mujhe Darr Hai k Kahein Khuda Na-Khuwasta Ye Section Apni Ehmiyat Na Kho De
Meri Dua Hai k is Diwwan Ki Ehmiyat Din Ba Din Bhadti Jaye....
Aameen..!!
Unhi Lamho'n Ki Tasweer Hai Hayat
Chand Lamhe Jo Tumhare Sath Guzaray Hum ne

Offline Zahida Raees Raji

  • Administrator
  • *****
  • Posts: 7107
  • Karma: 356
    • Baask-Home of Baluchi Language, Literature & Culture
Re: Iss bazm ke usool
« Reply #3 on: July 23, 2010, 07:04:16 AM »
Wajah Baloch Han:
Salam o drout o durah baatet,
is section ke rule kisee taraH ghalat naheN heN.
aap agar ghaur kareN tu yahaN par 3 section heN.
1. arakeen e Baaskani Diwwan ka intiKhaab
2. Baaskani Diwwan ke shaurah kee zaati taKhleeqaat
3. Balochistan ke Urdu Shaahir

agar aap ne jo taKhleeqaat intikhab kee jagah takhleeqaat ke section meN dekhe heN tu uskee zaroor it^laaH deejiye keh woh hamare intizaamiya ka qusoor hai keh ham is jaanib tavajju naheN de pa rahe

Jawab kee muntazir

 wati raaj e heyr loutouk


Zahida Raees :Raji:
baaskadmin@gmail.com , admin@baask.com
Learn Baluchi Composing in INPAGE
Learn Balochi Poetry Background Designing
Help Line

Offline BaLosHan

  • Junior Baask
  • **
  • Posts: 15
  • Karma: 1
Re: Iss bazm ke usool
« Reply #4 on: July 27, 2010, 04:30:07 AM »
Dear Admin
               Zahida Raees Raji

Sabse Typing Mistake K Liye SoRry Jis ki Waja Se Word "Admin" Se "Amin" Ban Gaya Aur Mein "BaLosHan" Se "Baloch Han"

Mein Ne Ye Kab Kaha k is Section k RuLe Ghalat Hain.. ?
Aur Na He Mein Ne Aisa Socha..!
Aap Aur Aap Ki Intezamiyan LaJawab Hai Jis Ki Waja Se Baask Diwwan Ki Raunakain MashAllah Se Bharti Ja Rahi Hai
Baat Darasal Yeh Hai K Mein Jab Is Section Mein Aya To Sabse Pehle Mein Ne "Iss Bazm Ke Usool" Pe Click Kya..
uSool Jannay k Baad Jab Mein Ne YaaGil K Post Jiska Subject   
"Safaroshi Ki TaMaNNa" Hai Us Pe Nazar Parhi To Mujhe Subject Se He Andaza Hogaya Tha k Kam Se Kam Ye YaaGiL Ka Apna Zaati Stuff Nahi Hai
Jab k Aap Ne Khud He Likha Hai k "apna zaati stuff post keejiye"
Ho Sakta Hai k Mein Aap Ki Baat Samajh Nahi Pa Raha Hon Lekin Mujhe Jo Sahi Laga Woh Aap Ko Bata Diya.
Kya Sahi Aur Kya Ghalat Is RehNumayi Aap Karaingi...

Unhi Lamho'n Ki Tasweer Hai Hayat
Chand Lamhe Jo Tumhare Sath Guzaray Hum ne