Author Topic: Aap teY to sub kuch tha Dedicated To My Beloved One  (Read 8939 times)

0 Members and 1 Guest are viewing this topic.

Offline Perozai R!nd

  • Baloch
  • Creative Baask
  • ***
  • Posts: 2685
  • Karma: 75
    • Baask - The Home Of Balochi Language & Literature
Aap teY to sub kuch tha Dedicated To My Beloved One
« on: October 10, 2006, 09:19:07 PM »
Salam Dear Baaskians
Mein Aaj Aap LogOn Se Aik Aisi Nazm Share Karne Jaraha hooN Jo Maine Aik Aise Shaks K Liye Likhi HeY Jo Ab Es JahaN Mein nahi HeY Lakin Voh hamesha Meri yadOn Mein , BalkeH Har Lamha Mere Saath Hey.Mein Unke Liye To Kuch Kar Nahi Sakta Lakin Aik Dua Karta Hoon Har Waqt Keh Mein Bhi Jaldi Unke Paas Chala JaawoN Aameen Summa Aameen.

Aap teY to sub kuch tha

Aksar Yaad Aati Hein Muje
Woh Batein Woh Pal
MeiN Aksar Rooth Jaata tha
Lakin Har Bar
Aap ki muhabbat ke Samne
Mera Roothna Ziyada der Na Teherta
Aap ka Mujh ko Har Bar Mana'na
Aur
Har Bar Meri Narazigi ko
Apne Piyar Se Mitana ,Muje Yaad heY
Aap teY to Sab Kuch tha
Aap Jesi Muhabat to Bas
Qismat Waalo`n ko Milti Hey
Aap ki Muhabat Es Jahan Se kam Nahi
Aap ki Piyar Bhari Baatein
Meri Zindagi Mein khushiyaN Bharti thein
Aap teY to Sab kuch tha
To Phir !
Kiyo`n Bichad Gaye ?
kiyo`n Muje Adhoora Chod Diya?
kon See Khata ki thi MeiN ne !
Jo Aap ne Judayi ki Saza Di Hum ko
Kiyo`n ?
Mujh Sey Es Qadar Door ChaleY Gaye
Aik Baar Socha Bhi Nahi
kiya Hal ho ga Mera Bin Aap key
kese kate gi Ab Ye Adhoori Zindagi bin Aap ke
kese Rahoonga MeiN ,Es Fareb ki Dunya MeiN bin Aap keY
Aap teY to Sab kuch tha
Aap teY to Mera Hakiki Vajood tha
Lakin
Jab SeY Aap Bichad Gaye Mujh Se
Tab Se Ye Zindagi !
Aik Saanp ki Tarah
Har Pal Har LamHa ,MujeY Dasti Rehti heY
Meri Zindagi be Ma"neY He bin Aap keY
Meri Zindagi be Sahara Hey bin Aap keY
Aap teY to Zindagi Mein Bahar thi
Aap teY to Har Taraf khushiyaN thein
Aap teY to Muhabbat thi
Lakin Ab
Kuch Bhi na Raha bin Aap keY
Aap teY to sub kuch tha

Kaisee Ye Zindagi HeY TereY bina
Adhoori Har khushi HeY TereY bina
kheneY ko to hum Jee RaheY heiN
Mager mot jesi Zindagi he TereY bina

Offline Mehhlab Baloch

  • Creative Baask
  • ***
  • Posts: 586
  • Karma: 74
Re: Aap teY to sub kuch tha Dedicated To My Beloved One
« Reply #1 on: October 10, 2006, 10:52:23 PM »
fahad bro believe it or not but u brought tears into my eyes............
Hey nezoreen baskani nokteren beday bara!!!
Gulzmeen soth e kuth azmank pa tu perbast.

Offline Wadareeg وداریگ

  • Creative Baask
  • ***
  • Posts: 506
  • Karma: 66
Re: Aap teY to sub kuch tha Dedicated To My Beloved One
« Reply #2 on: October 10, 2006, 11:49:51 PM »
 :mrgreen: 
Any way  (y)

Offline Zahida Raees Raji

  • Administrator
  • *****
  • Posts: 7107
  • Karma: 356
    • Baask-Home of Baluchi Language, Literature & Culture
Re: Aap teY to sub kuch tha Dedicated To My Beloved One
« Reply #3 on: October 11, 2006, 12:22:00 PM »
Mani kasnoken' braat, Fahad:
Zindag baate,

aap kee is naZm meN aazurdah eHsaasaat apnii poorii shiddatoN ke saath maujood heN.

dunyaa kee yeh reet hai keh jis ne aanaa hai use bilaaKhir apnii meeYaad poorii kar ke yahaN se chale bhi jaanaa hai.
kuch log kam waqt ke liye aate heN aur apnee zaat se munsalik logoN kee zindagi meN ek Khalaa d'aal kar chale jaate heN.

moHabbatooN ke saahebaan kee taaqat us waqt ziYadah meHsoos hootee hai jab voh sar se uTh~ jaate heN.
aur yahii kuch aap kee nazm se zaahir hai.

maanaa keh apnooN ko khone ka dard taa-umr naheeN miThaa lekin yeh kehnaa keh aap apnii meeYaad poorii kiye baghair unke paas chale jaheN durust naheeN  hai.
waqt har zaKhm ka marHam hai lekin walaiden aur aulaad ke diye gaye zaKhm ko kabhi naheeN bhartaa.

jis-taraH se "voh " aap kee zaat ke liye ehm the "aap" bhi bohat sooN ke liye ummeed, zindagi aur Khushii ho.

jo naheeN heN unkee maghfirat ke liye dua'a keejiye ke unheN iskee zaroorat hai aur jo heN unke liye apne hone kee vajah mohayya keejiye keh yahii zindagi ka taqaaZaa hai.

Allah(swt) aap ko Sabr-e-jameel ata farmaYe (Aameen)

Khair andesh

Aap kee behn

Zahida Raees :Raji:
baaskadmin@gmail.com , admin@baask.com
Learn Baluchi Composing in INPAGE
Learn Balochi Poetry Background Designing
Help Line

Offline Perozai R!nd

  • Baloch
  • Creative Baask
  • ***
  • Posts: 2685
  • Karma: 75
    • Baask - The Home Of Balochi Language & Literature
Re: Aap teY to sub kuch tha Dedicated To My Beloved One
« Reply #4 on: October 11, 2006, 08:37:28 PM »
Thankx Sis Mehlab , Lion Of Heart And Sis Raji.
Aap Ne Bilkul Sahi Kaha Sis Raji Lakin Ye Dil Kabhi Kisi Ka Nahi Sunta..
Khair
Thankx Again All Of You.

Offline Nuno

  • Seniour Baask
  • ****
  • Posts: 381
  • Karma: 11
  • Proud Pandrani
Re: Aap teY to sub kuch tha Dedicated To My Beloved One
« Reply #5 on: October 11, 2006, 10:59:02 PM »
thats so touching...

dear brother u r soo lucky that u can express ur feelings towards somone who is  very near to you, and u can praise them. belive it or not but thats a blessing. u have the ability to use the inner power of feelings in a right way.
its nice that u r putting forth ur feelings with the help of words, if u were not that optimistic then God forbid this situation cud turn in depression. every one goes through such kind of situations when they have to loose one or many of their loved ones but so rarely ppl accept it patienly, u r truly one of them.
Success is like tip of the tail !!!If cat runs to catch the tail.It has to keep running forever.But if it walks in its
own style.
Tail follows!!Live life with ur own rules

Offline ناہید بلوچ Naheed Baloch

  • Global Moderator
  • ******
  • Posts: 438
  • Karma: 20
    • Baask.com
Re: Aap teY to sub kuch tha Dedicated To My Beloved One
« Reply #6 on: October 12, 2006, 07:33:36 PM »
bro fahad
MASHA ALLA bohot umda naz^am likhi hay app ney ,,
sada aey lafz^ooN meiN bohot hi ma"Somiyat seY Aap neY apneY jaZbooN ka az^har kiya haY

asa lagta haY jeseY ye sab Gher aradi t^or per Aap neY likha haY Aap keY ander jo sacheY jaZbat heiN  in jaZbooN neY Aap ko ye sab likhneY per majbor kiya haY ..
her insan apney qaribi rishtooN seY bohot muHabat kerta haY aur ager wo bichaR jayeiN to in ki kami zindagi meiN ak khala peda ker deti haY ,lakin kiya kareiN ye niz^am-e-Qudrat haY jo as dunya meiN aya haY aseY ak din ye dunya choR ker jana peRta haY    .
meiN dua kerti hoN khoda Aap keY valid ki ma'Ghfarat farmayeiN aur Aap ko Saber at^a kareY (ameen)
ye naz^am Aap keY sacheY jaZbooN ki tarjomani kerti haY Aap keY her ak lafz^ meiN karab aur ghuTan ka az^har haY .
aur jab dil meiN ghuTan baRh jati haY to sans lena bhi mushkil ho jata haY   asi liye insan az^har keY Zarye talash kerta haY.
mana keY az^har kerneY  sey ghuTan khatam nahi hoti lakin haN kam zaroor ho jati haY .
Aap neY apneY jaZbat hum sub seY shar kiye hameiN bohot acha laga .
likhneY ka safar jari rakho aur hamesha khosh raho  :)
Aap ki baji
Naheed
Naheed Umer Baloch

Offline Perozai R!nd

  • Baloch
  • Creative Baask
  • ***
  • Posts: 2685
  • Karma: 75
    • Baask - The Home Of Balochi Language & Literature
Re: Aap teY to sub kuch tha Dedicated To My Beloved One
« Reply #7 on: October 12, 2006, 09:07:39 PM »

Thank You Soo Much Sis Naheed And Nuno.

Aapne Bilkul Hee Sahi KahaSis Naheed.Thankx for All...

Offline Mansoor Alam

  • Semi Seniour Baask
  • ***
  • Posts: 82
  • Karma: 7
Re: Aap teY to sub kuch tha Dedicated To My Beloved One
« Reply #8 on: March 09, 2007, 06:25:21 PM »
nice brother Fahad.
PROUD 2 BE A BALOCH.

Offline Perozai R!nd

  • Baloch
  • Creative Baask
  • ***
  • Posts: 2685
  • Karma: 75
    • Baask - The Home Of Balochi Language & Literature
Re: Aap teY to sub kuch tha Dedicated To My Beloved One
« Reply #9 on: March 09, 2007, 07:00:02 PM »
Thankx Mansoor...