Sukoot e marg si khamooshi
Uff Khudaya!
Yeh kaisa qehr
Aangan mein mere
Tu ne uthara hai
Gumaan hota hai
Youn mujh ko
Yeh jo taareeki e shab hai
Uthar ayi hai
upar se
Fana jis ke karne ko
Sulagthy yeh khiloney hain
Bahut mayusiyan hain
Kamsin en nigahon mein
Khudaya! Kuch karam kar
Mere nadaar logon par
Ujala en ki Subha kar
Maseeha bana koi
Mere aangan ko phir se
Aangan bana Ya Rub!